Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Main Hansoon Ke Is Pe Roun
|
Kishore Kumar | Chitragupta | ||||
Maa (1968) | Majrooh Sultanpuri | ||||||
mai hansun ke is pe roun hai ajib ye nazara
hai ajib ye nazara
teri aansuo me chamka mere pyar ka sitara
mai hansun ke is pe roun hai ajib ye nazara
mere khatir chshme jana jane kya tujhpe biti

yahi sochu aaj dil ki baazi kyu maine jiti
mujhe dukh hai ke mai kyu na wahi baazi phir se hara
mai hansun ke is pe roun hai ajib ye nazara
mere gam me ruh jiski rehti ho itni pyasi

nazro se chum lu mai us chehre ki udasi
mera itna paiyam usko koi pahucha de khudara