Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Mai To Chanda Si Gori Naar
|
Shamshad Begum | Khemchand Prakash | ||||
Sawan Aya Re (1949) | Gulshan Jalalabadi | ||||||
main to chanda si
ho main to chanda si gori naar
dekho ji koi nazar lagaiyo na
ho main to chanda si gori naar
dekho ji koi nazar lagaiyo na
main to door se aankh milaaun
main to door se aankh milaaun
dekho ji koi paas bulaiyyo na
ho main to chanda si gori naar
dekho ji koi nazar lagaiyo na
main parvat ki chhori o babu bach ke rahiyo
main parvat ki chhori o babu bach ke rahiyo
dekh ke mera roop kahin tum rasta bhool na jaiyo
haan haan rasta bhool na jaiyo
haan haan rasta bhool na jaiyo
main to chanda si
haan main to chanda si gori naar
dekho ji koi nazar lagaiyo na
main to dil ko uda le jaaun
phir milun to aankh churaaun
koi pyaar sikhaane aaye
to ye keh kar tadpaaun
main to haath lage kumhlaaun
ho ji main to haath lage kumhlaaun
dekho ji koi haath lagaiyo na
ho main to chanda si
haan main to chanda si gori naar
dekho ji koi nazar lagaiyo na
main anokhi nainitaal ki
duniya aankh bichhaaye
main anokhi nainitaal ki
duniya aankh bichhaaaye
mera bhola bhaala mukhda jo dekhe loot jaaye
haan haan jo dekhe loot jaaye
ho ji jo dekhe loot jaaye
main to chanda si
haan main to chanda si gori naar
dekho ji koi nazar lagaiyo na
koi chup chup kare ishaare
meri galiyon mein aake pukaare
main to ye keh ke chhup jaaun
mat aise hamen bula re
koi kar dega badnaam
ho ji koi kar dega badnaam
dekho ji meri galiyon mein aayiyo na
ho main to chanda si
haan main to chanda si gori naar
dekho ji koi nazar lagaiyo na