Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Mai Sunati Hu Ek Baat
|
Asha Bhosle | Laxmikant Pyarelal | Mala Sinha | |||
Do Bhai (1969) | Anand Bakshi | ||||||
mai sunati hu ek baat mai sunati hu ek baat
bolo bura hua ke bhala hua
mai sunati hu ek baat
bolo bura hua ke bhala hua
ho mujhe nind aayi na sari raat
bolo bura hua ke bhala hua
didi didi ye to bahut bura hua
bura nahi bhala hua sari raat gujari jaag ke
ek chor ko dekha bhagte sari raat gujari jaag ke
ek chor ko dekha bhagte
maine uth ke usko pakad liya
use hathkadi me jakad liya
bandhe rassi se uske hath
bolo bura hua ke bhala hua
ye to bhala hua ye to bhala hua
bhala nahi hat pagle ye to bura hua
na wo chor tha na wo mor tha
na wo chor tha na wo mor tha
wo bechara to koi or tha
padi muft me itni mar use
thane le gaya chokidar use hua julm ye uske sath
bolo bolo bura hua ke bhala hua
didi ye to bhala hua
nahi nahi ye to bahut bura hua
nahi nahi bura nahi bhala hua
use jana tha kahin rail se
takra gayi jo ke mail se
use jana tha kahin rail se
takra gayi jo ke mail se
sare sahar me shor sa mach gaya
sabhi mar gaye wo bach gaya
bas hui khatam ye baat
na bhala hua na bura hua
na bhala hua na bura hua