Lyrics of Mai Banke Guhariya - मैं बनके गुज़रिया
gaon me apni preet ke, bairi hai sab log
gaon me apni preet ke, bairi hai sab log
main diwaani ka karun, mohe laga prem ka rog
are main to banke gujariya
ho main to banke gujariya, aai hun mele me
ki sun more baanke sawariya
ho more baanke sawariya, le chal akele me
akele milna tha to
ho yun milna tha to, aai kyu mele me
jab se lage hai naina, naina nahi laage
jab se lage hai naina, naina nahi laage
nindiya bhi naino se, dur dur bhaage
pare tanik si kankari, nain rahe bechain
pare tanik si kankari, nain rahe bechain
un nainan ki ka kahe
aeji jin nainan me nain
haay re meri jaan ulajh gayi
ho meri jaan ulajh gayi, kaise jhamele me
are main to banke gujariya
ho main to banke gujariya, aai hun mele me
ki sun more baanke sawariya
ho more baanke sawariya, le chal akele me
ji to yahi chaahe kahi, luk chhup jaaye
o ji to yahi chaahe kahi, luk chhup jaaye
duniya se dur nayi, duniya basaaye
dar laage mohe saajna, le le haath me hath
dar laage mohe saajna, le le haath me hath
jo main hun tere sang gori
darne ki kya baat
kahin hum bichhad na jaaye
ho hum bichhad na jaaye, le le ghere me
are main to banke gujariya
ho main to banke gujariya, aai hun mele me
ki sun more baanke sawariya
ho more baanke sawariya, le chal akele me
tujh si nadi na hogi, mujh sa na pyaasa
ho tujh si nadi na hogi, mujh sa na pyaasa
kab se lagi tose, milan ki aasha
na jaane kab se saje, hontho par ye bol
na jaane kab se saje, hontho par ye bol
sajna tu hai johri, aur main heera anmol
ke main tere haath bikungi
ho tere haath bikungi, ho ke akele me
are main to banke gujariya
ho main to banke gujariya, aai hun mele me
ki sun more baanke sawariya
ho more baanke sawariya, le chal akele me
akele milna tha to
ho yun milna tha to, aai kyu mele me