Lyrics of Mahki Huyee See Abb Saree Fijaye Hain - कोई जो मिला तो मुझे ऐसा लगता हैं
koyi jo mila to mujhe aisa lagta tha
jaise meri sari duniya me geeto ki rut
aur rango ki barkha hai, khushbu ki aandhi hai
mahki huyi si ab sari fijaye hain
bahki huyi si ab sari hawaye hain
khoyi huyi si ab sari dishaye hain
badli huyi si ab sari adaye hain
jaagi umange hain, dhadak raha hai dil
saanso me tufan hain, hontho pe nagme hain
aankho me sapne hain, sapno me beete huye
sare wo lamhe hain
jab koyi aaya tha, najro pe chhaya tha
dil me samaya tha, kaise mai batau tumhe
kaisa use paya tha, pyar se chehre pe bikhri jo julfe
to aisa lagta tha, jaise kohre ke pichhe
ek os me dhula huwa, phul khila hai jaise
badal me ek chand chhupa hai
aur jhank raha hai, jaise raat ke parde me
ek savera hai, roshan roshan aankho me
sapno ka sagar, jisme prem sitaro ki chadar
jaise jhalak rahi hai
lahro lahro baat kare, to jaise moti barse
jaise kahin chandi ki payal gunje
jaise kahin shishe ke jaam gire
aur chhann se tute, jaise koyi chhip ke sitar bajaye
jaise koyi chandni raat me gaaye
jaise koyi haule se paas bulaye
kaisi mithi baate thi, wo kaisi mulakate thi
wo jab maine jana tha
najro se kaise pighalte hain dil
aur aarju pati hai kaise manjil
aur kaise utarta hai chand jami par
kaise kabhi lagta hai swarg agar hai
to bas hai yahi par
usne bataya mujhe, aur samjhaya mujhe
hum jo mile hain, hume aise hi milna tha
gul jo khile hain, unhe aise hi khilna tha
janmo ke bandhan, janmo ke rishte hain
jab bhi hum janme, to hum yunhi milte hain
kaano me mere jaise, shahd se ghulne lage
khwabo ke dar jaise, aankho me khulne lage
khwabo ki duniya bhi kitni hasi aur
kaisi rangin thi, khwabo ki duniya
jo kahne ko thi, par kahin bhi nahi thi
khwab jo tute mere, aankh jo khuli meri
hosh jo aaya mujhe
maine dekha, maine jana
wo jo kabhi aaya tha, najro pe chhaya tha
dil me samaya tha, ja bhi chuka hai
aur dil mera hai ab, tanha tanha
na to koyi armaa hai, na koyi tamanna hai
aur na koyi sapna hai
ab jo mere din aur ab jo meri raate hain
unme sirf aansu hain
unme sirf dard ki, ranj ki baate hain
aur fariyade hain
mera ab koyi nahi
mai hu, aur khoye huye pyar ki yaade hain
mai hu, aur khoye huye pyar ki yaade hain
mai hu, aur khoye huye pyar ki yaade hain