The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Mahabharat Katha
0
Mohammed Rafi Chitragupt
Mahabharat (1965) Bharat Vyas
Lyrics of Mahabharat Katha - महाभारत कथा

mahakavi shri vedvyas ki aarti sabhi utarat hai
jinki lekhani se nikla
ye mahakavya mahabharat hai

bahut din bite purani baat hai
aaj tak jo vishav mein vikhyath hai
hastinapur naam ki thi ek yahan nagri badi
heere pano motiyo ki aab se jabmag jadi
jiske upar chandr vanshi rajao ka raaj tha
jiske raja pandu par, sari praja ko naaz tha
is katha mein zor hai, aandhiyo ka shor hai
bheem arjun ka parakram, draupadi ki hai vyatha
jisne di bharat ko geeta, wo mahabharat katha
ye mahabharat ki katha
ye mahabharat ki katha

pandu se pandav huye, dhritrashtra se kavrav huye
ek zami ke kalank, duje jagat ke gaurav huye
dusht duryodhan, adharm ki raah par chalne laga
nij chachere bhaiyo se, vyarth hi jalne laga
kintu pandu sut yudhisthir, dharam ke avtaar the
bhai se bhai na jhagde, unke shudh vichar the
krishna ka updesh hai, maanta sab desh hai
bheem arjun ka parakram, draupadi ki hai vyatha
jisne di bharat ko geeta, wo mahabharat katha
ye mahabharat ki katha
ye mahabharat ki katha

ae rakhi bandhwane wale
kahan chhupe ho krishan murar
panch pandavo ki panchali
bhari sabha mein kare pukar

dharmraj bane juvari, jhuti zid par ad gaye
pandavo ki akal par bhi, haye patthar pad gaye
kauravo ki nagntha par, paap ye chadne laga
mahabharat mein pralay ka, beej ye padne laga
dusht dushasan adharmi, vastra keche ja raha hai
thak gaye ye hath par, saadi ka ant na aa raha
purush wo hatho mein jinke, dharam ki talvaar ho
inke hatho mein hai saadi, veerta dhikar ho
laaj nari ki na jaye, jo jagat ki maat hai
iski izzat abaru, pyare prabhu ke hath hai
shashtra sab yodha liye, chup hai sar nicha kiye
chakrdhari ne mitayi, draupadi ki ye vyatha
jisne di bharat ko geeta, wo mahabharat katha
ye mahabharat ki katha
ye mahabharat ki katha

sukh jaata hai, dukh aata, dukh jaata hai, sukh aaata
kintu pandavon ke jeevan ka, dukh hi dukh se naata
likha bhagya ka, kabhi na tal tha, honahaar hoti hai
dekh pandavon ko banavasi, dharati bhi roti hai
dharam raj kehelane wale, chhod ke ghar sansaar chale
sang draupadi ban ban bhatake, raj paat sab haar chale
arjun ka ghandeev aaj nahin, is vipada kaa bhar hare
gadha bheem ki mahabali ke, kandhon par araam kare
ab na mile, aakash hi chat hai, dharti inka bichona hai
raj vanshiyon ko ab tho, ban ke kanton par sona hai
bhari baiti door anokhe, beej naye boti hai
dekh pandavon ko banvasi, dharati bhi roti hai

jungle mein mangal chaaya hai, bhulgaye voh pichle pal
panchali ke liye bheem, nikale hein laane, swarankamal
saamne yeh kaun jiska, rang bhi ranga ang hai
vridh hai vanar magar, kya josh hai kya umang hai
puch inki shakti shaali, raah mein bajarang hai
jai pawan putr mahaan, jai jai banture balwaan
jai hey raam priya hanumaan

chakrvuh ka chakr ghira hai, kavrav dal ki chaal hai
aaj kaal ki chaati par, abhimanyu jaisa bal hai
saamne is vuh mein, pehele jaidrath aagaye
veer abhimanyu ke haathon, yeh bhi muki khagaye
pehele socha maar daalun, kya yahi satkarma hai
phir kaha na maarana, murchit ko ghor adharam hai
chal-kapat ki yeh ladaayi, dekh kar hoti vyatha
saat yodhavon se ladate, ek balak ki katha
yeh mahabharat ki katha, yeh mahabharat ki katha

saamne dekha khade yeh karan sar uncha liye
ban abhimanyu ka chuta, dhanush ke tukde kiye
hila dushasan ka aasan, voh bhi bhaga kampa ke
kaun aage aayega, jwalamukhi is aag ke
ab lo dekho, bhanjon ke, pyaare mama aagaye
aaj yeh pase na palte, ulte jhasan kha gaye
idhar dekho dhanur dhari, shalya saj-dhaj kar khada
yeh bhi toota istarah, jun daal se pata jhada
jwal bhadaki aaj duryodhan ki bhi na khair hai
aaj vish uglega yeh, sadiyon purana bair hai

sab ne socha, istarah, balak yeh baaz na aayega
kutniti se ise, maro, tabhi mar jaayega
ik taraf saathon maharathi, ek taraf balak akela
phir bhi jab tak pran tan mein, kshatriyon ka khel khela
vah vah pyare bhatije, tujh se ujwal vansh hai
aa gale mille ghadi bhar, tu humara ansh hai
is tarah ik chaal kapati, chhali duryodhan chala
gale milne ke bahane, nij bhatije ko chhala
pit par abhimanyu ke, ik baan dhoke ka chala