Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Maar Liya Maidaan
|
Asha Bhosle, Kishore Kumar | Ravindra Jain | ||||
Hum Tere Aashiq Hain (1979) | Sahir Ludhianvi | ||||||
maar liya maidaan humne maar liya maidaan
kaisa raha plan apna badhiya rahi plan
waah re chacha waah bhatizi
mai to dono pe qurban
waah re chacha waah re bhatizi
mai to dono pe qurban
maar liya maidaan humne maar liya maidaan
dekh liya ye duniya kya hai kya hai duniyawale
sone ki chabhi se khulte sab ke dilo ke tale
jo is bhed se wakif hai wo sab ko jeb me dale
jo is bhed se wakif hai wo sab ko jeb me dale
humne ye gun sikh liya hum hai kabil inshan
humne ye gun sikh liya hum hai kabil inshan
are maar liya maidaan humne maar liya maidaan
rang ka bhed or nashl ke jhagde sab kehne ki bate
jinke ghar laxmi ka dera unki unchi jaate
are aage chale rupya paisa pichhe chale barate
are aage chale rupya paisa pichhe chale barate
dukano ke lebal dekh ke bikte hai pakwan
dukano ke lebal dekh ke bikte hai pakwan
are maar liya maidaan humne maar liya maidaan
kaisa raha plan apna badhiya rahi plan