Lyrics of Maa Ban Ne Ka Do Adhikar - माँ बन ने का दो अधिकार
maa o maa o maa o maa
maa santoshi maa santoshi
maa santoshi mere dil ki, sun lo karun pukaar
maa kahlane ka beti ko, de do tum adhikaar
maa santoshi maa santoshi
bin aulad ke is duniya me naari rahe adhuri
bin aulad ke is duniya me naari rahe adhuri
karu yachana kar do maata meri aas ye puri
suni god ye bhar do meri
suni god ye bhar do meri, hoga bada upkar
maa santoshi maa santoshi
wo bagiya kis kaam ke, jisme aaye na haryali
wo bagiya kis kaam ke, jisme aaye na haryali
jispe khile ja phul paat, wo daali bhi kya daali
jivit hu par jeene ka tum
jivit hu par jeene ka tum, de do mujhe adhar
maa santoshi maa santoshi
maa jo banungi to tumhe samparit
ye jivan kar dungi
maa jo banungi to tumhe samparit
ye jivan kar dungi
sachche man se har ek pal
main naam tumhara lungi
ek santan ke rup me mujhko
ek santan ke rup me mujhko
de do ye sansaar
maa santoshi maa santoshi
nahi tumhare liye asambhav
kuchh bhi ae jag janni
nahi tumhare liye asambhav
kuchh bhi ae jag janni
tumsukh daati ho kalyani
tum ho chinta harni
meri bhi chinta ko har ke
meri bhi chinta ko har ke, sapna karo sakar
maa santoshi maa santoshi
maa santoshi mere dil ki, sun lo karun pukaar
maa kahlane ka beti ko, de do tum adhikaar
maa santoshi maa santoshi