Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Le Aai Phir Kahaan Par
|
Noor Jehan | Shaukat Dehlvi Nashad | ||||
Salgirah (1969) | Shevan Rizvi | ||||||
le aayi phir kaha par qismat hame kaha se

ye to vahi jagah hai guzre the ham jaha se

majbur kar rahi hai phir gardish-e-zamana

ham chhed de vahi se guzra hua fasana
lekin koi bata de bhule the ham kaha se
ye to vahi jagah hai guzre the ham jaha se
le aayi phir kaha par qismat hame kaha se
teri hi anjuman me ye intezar tera
teri hi anjuman me ye intezar tera
tere bagair sathi jashn-e-bahar tera
ye kaun si adaa hai puchenge asman se
ye to vahi jagah hai guzre the ham jaha se
le aayi phir kaha par qismat hame kaha se
mahfil me apki ham kuch aur to na laye
mahfil me apki ham kuch aur to na laye
nagmat me sajakar jazbat leke aaye
yad aayege bahut ham jayege jab yaha se