Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Lat Uljhi Suljha Re Balam
|
Shamshad Begum | Robin Banerjee | ||||
Shobna (1954) | Mahendra Pran | ||||||
lat uljhi suljha ja re balam
main na lagaungi hath re
chand se mukhde ko nagan julfe
chahe danse sari raat re
lat uljhi suljha ja re balam
pahle ham ko chhed rahi thi julmi hawa mastani
man ki batiya likhane baithi jal gayi ye deewani
bairan lat kya tod sakegi tera mera sath re
lat uljhi suljha ja re balam
jaise chanchal maujo se jab chandani milne aaye
dekh sake na kari badriya chand ke aade aaye
sun o pagli pyar ke dushman kha jate hai maat re
lat uljhi suljha ja re balam
aaj ye mere man ko jalaye meri ek na mane
kal ye tere bas mein hogi bavri ye na jane re
is nut-khat ko sau bal dena aaye jo tere hath re
lat uljhi suljha ja re balam