Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Lat Uljhi Sulajh Ja Mori Balam
|
Rajkumari | Snehal Bhatkar | ||||
Gunah (1953) | Kedar Sharma | ||||||
lat uljhi suljha ja re balam
main naa lagaungi hath re
chand se mukhse ko nagan julfe
chahe danse sari raat re
lat uljhi suljha ja re balam
pahle ham ko chhed rahi thi julmi hawa mastani
man ki batiya likhane baithi jal gayi ye deewani
bairan lat kya tod sakegi tera mera sath re
lat uljhi suljha ja re balam
jaise chanchal maujo se jab chandni milne aaye
dekh sake na kari bandriya chand ke aade aaye
sun o pagli pyar ke dushaman kha jate hai maat re
lat uljhi suljha ja re balam
aaj ye mere man ko jalaye meri ek na mane
kal ye tere bas mein hogi banvri ye na jane re
is nut-khat ko sau bal dena aaye jo tere hath re
lat uljhi suljha ja re balam