Lyrics of Lamha Yeh Jayega Kaha - लम्हा ये जाएगा कहाँ
khushanuma, aawara sa
besabab, bechara sa lamha tha
jindagi ke aasman me tuta sa wo tara tha, tanha tha
keh rahe hai jarre dekho, raasto se gujra tha yaha
dhundte hai usko lekin
gayab hai pairo ke nishan
lamha ye jayega kaha, lamha ye jayega kaha
lamha kaha ye kho gaya, ik pal me tanha ho gaya
aaye jo mausam naye, manjar badal jayenge
shakho se patte gire, gir ke kidhar jayenge
keh rahe hai jarre dekho, rasto se gujra tha yaha
dhundte hai usko lekin
gayab hai pairo ke nishan
lamha ye jayega kaha, lamha ye jayega kaha
lamha kaha ye kho gaya, ik pal me tanha ho gaya
lamha ye jayega kaha, lamha ye jayega kaha
lamha kaha ye kho gaya, ik pal me tanha ho gaya
shabnam kaa katra hai ye, shole bujha jayega
kar jayega aankhe nam yado me bas jayega
barisho ki bunde barse, badlo ke dil halke huye
jane pehchane chehro ke aks bhi kyun dhundle huye
lamha ye jayega kaha, lamha ye jayega kaha
tanha ye jayega kaha, tanha ye jayega kaha