Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Lahol Wala Aji Masha Allah
|
Asha Bhosle, Mohammed Rafi | Iqbal Qureshi | ||||
Zamana Badal Gaya (1961) | Aziz Kaisi | ||||||
lahol walla aji masha allah
lahol walla ko bata illah billa
lahol walla
roop ke pujari ye ishk ke madari
surat to jara dekho kya bat hai tumhari
kya bat hai tumhari lahol walla
aji masha allah
lahol walla ko bata illah billa
lahol walla aji masha allah
dil kitne phas gaye hai aachal ki daliyo me
julfo ki in lato me kano ki baliyo me
aadat hai nagino ki in husn waliyo me
khanjar chupe hue hai phulo ki daliyo me
lahol walla aji masha allah
lahol walla ko bata illah billa
lahol walla aji masha allah
mat naam lo hamara bolo na ye dobara
kismat ka aashiko ki damdar hai sitara
ek bar aayine me tum dekh lo khudara
chehro pe baj rahe hai tum sabke pone barah
lahol walla aji masha allah
lahol walla ko bata illah billa
lahol walla aji masha allah
surat ko jane dijiye surat me kya dhara hai
dil ka salaam dijiye ye dil to aapka hai
ab sar jhuka rahe hai hamko mana rahe hai
ab tak jo tan rahe the maska laga rahe hai
lahol walla aji masha allah
lahol walla ko bata illah billa
lahol walla aji masha allah