Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Lagataa Nahin Hai Ji Meraa Ujade Dayaar Men
|
Habib Wali Mohammad | Saraswati Devi | ||||
No (0) | Bahadur Shah Zafar | Sad Songs | |||||
lagta nahi hai ji mera ujde dayar me
lagta nahi hai ji mera ujde dayar me
lagta nahi hai ji mera ujde dayar me
kiski bani hai aalam-e-naapaydar me
lagta nahi hai ji mera
kah do in hasrato se kahi aur ja base
kah do in hasrato se kahi aur ja base
kahi aur ja base
itni jagah kahan hai dil-e-daagdaar me
itni jagah kahan hai dil-e-daagdaar me
lagta nahi hai ji mera
umar-e-daraz maang ke laye the char din
laye the char din
umar-e-daraz maang ke laye the char din
do aarzu me kat gaye do intzaar me
do aarzu me kat gaye do intzaar me
lagta nahi hai ji mera
bulbul ko baagba se na saiyaad se gila
bulbul ko baagba se na saiyaad se gila
kismat me kaid thi fasle bahar me
kismat me kaid thi fasle bahar me
lagta nahi hai ji mera
kitna hai badnasib zafar dafn ke liye
kitna hai badnasib zafar dafn ke liye
dafn ke liye
do gaz zamin bhi na mil saki ku-e-yaar me
do gaz zamin bhi na mili ku-e-yaar me
lagta nahi hai ji mera ujde dayar me
kiski bani hai aalam-e-naapaydar me
lagta nahi hai ji mera