Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Labe Khamosh Se Izhare Tamana Chahe
|
Chitra Singh | |||||
Beyond Time (Jagjit Singh) (0) | Ghazals | ||||||
lab-e-khamosh se izhar-e-tamana chahe
lab-e-khamosh se izhar-e-tamana chahe
baat karne ko bhi tasvir ka lehja chahe
lab-e-khamosh se izhar-e-tamana chahe
tu chale sath to aahat bhi na aaye apni
tu chale sath to aahat bhi na aaye apni
darmiuya hum bhi na ho yun tujhe tanha chahe
lab-e-khamosh se izhar-e-tamana chahe
khwaab me roye to ehsaas ho saraabi ka
khwaab me roye to ehsaas ho saraabi ka
ret par soye magar aankh me dariya chahe
lab-e-khamosh se izhar-e-tamana chahe
aise tairaaq bhi dekhe hain muzaffar humne
aise tairaaq bhi dekhe hain muzaffar humne
garq hone ke liye bhi jo sahara chahe
lab-e-khamosh se izhar-e-tamana chahe
baat karne ko bhi tasvir ka lehja chahe
lab-e-khamosh se izhar-e-tamana chahe