Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Kyun Zindagi Ki Raah Men Majabur Ho Gae
|
Chitra Singh | Kuldeep Singh | Farooq Sheikh, Deepti Naval | |||
Saath Saath (1982) | Javed Akhtar | Ghazals | |||||
kyun zindagi ki raah me majbur ho gaye
kyun zindagi ki raah me majbur ho gaye
itne huye karib ki ham dur ho gaye
kyun zindagi ki raah me majbur ho gaye
itne huye karib ki ham dur ho gaye
kyun zindagi ki raah me majbur ho gaye
aisa nahi ki hamko koi bhi khushi nahi
lekin ye zindagi to koi zindagi nahi
aisa nahi ki hamko koi bhi khushi nahi
lekin ye zindagi to koi zindagi nahi
kyo iske faisale hame manzur ho gaye
itne huye karib ki ham dur ho gaye
kyun zindagi ki raah me majbur ho gaye
paaya tumhe to hamko laga tumko kho diya
ham dil pe roye aur ye dil ham pe ro diya
paaya tumhe to hamko laga tumko kho diya
ham dil pe roye aur ye dil ham pe ro diya
palko se khvaab kyo gire kyo chur ho gaye
itne huye karib ki ham dur ho gaye
kyun zindagi ki raah me majbur ho gaye
itne huye karib ki ham dur ho gaye
kyun zindagi ki raah me majbur ho gaye