Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Kyun Use Tune
|
Ashok Khosla | Ashok Khosla | ||||
Mulaqat (1997) | Ghazals | ||||||
kyu use tune bas Ek phool kaha hai mere dost
tune shayad mere mehboob ko dekha hi nahi
tu jise itni haseen Cheez samjhta hai wo phool
sukh jaye to nigaho ko bura lagta hai
phool ka apna koi rang roop nahi
uske jode me saja ho to bhala lagta hai
mere mehboob tu har waqt naya hai mere dost
tune shayad mere mehboob ko dekha hi nahi
mere mehboob ki aankhe hai wo gehri jheele
jin me khilte hai mere waste chahat ke kaval
usko dekhu to mujhe shayri karni aa jaye
aur mai uske liye gaon muhabbat ki gazal
wo mere dil ki dhadakne ki sada hai mere dost
tune shayad mere mehboob ko dekha hi nahi
mere mehboob ke jalwo ka nahi koi jawab
dhoop sa rang hai aur wo khud hai Chao jaisi
uske pazeb me barsaat ka mausm Chanke
sir pe resham ka dupatta hai ghataon jaisa
wo jaha bhar ki hasino se juda hai mere dost
tune shayad mere mehboob ko dekha hi nahi