Lyrics of Kya Miliye Aise Logo Se - क्या मिलिये ऐसे लोगों से
kya miliye
kya miliye aise logo se jinki fitrat chhupi rahe

nakli chehra samne aaye asli surat chhupi rahe

khud se bhi jo khud ko chupaye, kya unse pehchan kare
kya unke daman se lipte, kya unka arman kare

jinki aadhi niyat ubhare, aadhi niyat chhupi rahe
nakli chehra samne aaye asli surat chhupi rahe
dildari ka dong rachakar jaal bichaye bato ka
jite ji ka rishta kehkar, sukh dunde kuch rato ka

ruh ki hasrat lab par aaye, jism ki hasrat chhupi rahe
nakli chehra samne aaye asli surat chhupi rahe
jinke julm se dukhi hai janta har basti har ganv me
daya dharam ki bat kare wo baith ke saji sabhavo me

dan ka charcha ghar ghar pahuche, lut ki daulat chupi rahe
nakli chehra samne aaye asli surat chhupi rahe
dekhe in nakli chehro ki kab tak jai jai kaar chale
ujale kapdo ki tah me kab tak kala sansar chale

kab tak logo ki najaro se chhupi hakikat chhupi rahe