Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Kya Kya Na Sitam Tujhpe Huye
|
Mohammed Rafi | N Datta | ||||
Mohini (1957) | Raja Mehdi Ali Khan | Sad Songs | |||||
kya kya na sitam tujhpe huye
mahlo ki rani
kya kya na sitam tujhpe huye
kya kya na sitam tujhpe huye
mahlo ki rani kismat ne likhi aansuo
se teri kahani o mahlo ki rani
kya kya na sitam tujhpe huye
itni badi duniya me bhi koi nahi tera
itni badi duniya me bhi koi nahi tera
ya thokar kismat ki hai ya gham ka andhera
haye ya gham ka aandhera
is duniya ne ab tujhe mitane ki hai thani
kismat ne likhi aansuo
se teri kahani o mahlo ki rani
kya kya na sitam tujhpe huye
aansu tere hansti huyi kaliyo ko rula de
aansu tere hansti huyi kaliyo ko rula de
aahe teri aakash ke pardo ko hila de
pardo ko hila de nadan tha vo jisne
teri ek na mani kismat ne likhi aansuo
se teri kahani o mahlo ki rani
kya kya na sitam tujhpe huye
aankhe teri benur huyi dil tera tuta
aankhe teri benur huyi dil tera tuta
bhagwan ke hote huye
sansar ne luta sansar ne luta
duniya me kisi ne bhi teri kadar na jani
kismat ne likhi aansuo
se teri kahani o mahlo ki rani
kya kya na sitam tujhpe huye
kismat ne likhi aansuo
se teri kahani o mahlo ki rani
kya kya na sitam tujhpe huye