Lyrics of Kya Ishq Ne Samjha Hai Zamane Ko Dikhana Hai - क्या इश्क ने समझा है जमाने को दिखाना है
aaj ki shaam is mehfil me aapke pasandida qavvaal
chulbule asraani saahab ko bulaaya gaya tha magar
achaanak tabiyat kharab ho jaane ki vajah se vo chulbule
gulbule se gulgule hokar bulbule ho chuke hai
isaliye yaha nahi aa sake, unke na aane ki mai
zanaab karnal tipsi se muaafi chahta hu is
guzaarish ke saath ki unaki ye hasin mehfil saaz aur
aavaaz ke jaadu se maharum nahi rahegi, agar mere
sine me dil hai aur us dil me tadap aur uska asar
tadap laazami hai apne aavaaz se sab dilo ko jitane
ka vayda to nahi kar sakta par huzur agar ye
naachiz agar ek raat me ek dil bhi jit saka to meri
qismat chamak uthegi
kya ishq ne samajha hai kya husn ne jaana hai
ham khaak hasino ki thokar me zamaana hai
pari ho aasmaani tum magar tumko to paana hai
pari ho aasmaani tum magar tumko to paana hai
pari ho aasmaani tum magar tumko to paana hai
muhabbat kaise karte hai ha muhabbat kaise karte hai
zamaane ko dikhana hai zamaane ko dikhana hai
zamaane ko dikhana hai zamaane ko dikhana hai
ha mohabbat kaise karte hai, kaise karte hai mohabbat
kaise karte hai mohabbat dikhana hai dikhana hai
dikhana hai zamaane ko, dikhana hai zamaane ko dikhana hai
zamaane ko dikhana hai zamaane ko dikhana hai
pari ho aasmaani tum magar tumko to paana hai
husn kaha tu kaun hai, maine kaha shaida tera
husn kaha takta hai kya, maine kaha surat teri
aa usne kaha kya chaahiye, maine kaha ulfat teri
usne kaha mumkin nahi maine kaha yu hi sahi
usne kaha mumkin nahi maine kaha yu hi sahi
ho meri tamanna dilbar jaana khel nahi ishq hai
saaye me talvaar ke aanaa khel nahi hai ishq hai
yu hosh gavana ishq hai, ye haal banaana ishq hai
is dar tak aana ishq hai, aavaaz lagaana ishq hai
yu hosh gavana ye haal banaana is dar tak aana sada lagana
ishq hai, ishq hai
ishq vo nagma sun ke jise are ishq vo nagma sun ke jise
mehlo ke parde jalte hai, mehlo ke parde jalte hai
ishq vo nagma sun ke jise sun ke jise vo nagma
sun ke jise mehlo ke parde jalte hai
tum chale aaoge e ji tum to chale aaoge
aise aag pe jaise chalte hai, aag pe jaise chalte hai
ha karo na meharbaani tum magar tumko to paana hai
ha karo na meharbaani tum magar tumko to paana hai
mohabbat kaise karte hai, mohabbat kaise karte hai
zamaane ko dikhana hai zamaane ko dikhana hai
zamaane ko dikhana hai zamaane ko dikhana hai
laaya tha mai daave zigar tumne to dekha bhi nahi
aaya tha mai kis pyar se tumne to puchha bhi nahi
patthar laga jab qais ko mashahur-e-aalam ho gaya
patthar laga jab qais ko mashahur-e-aalam ho gaya
zakhmi hua farhaad to duniya me maatam ho gaya
zakhmi hua parhaad to duniya me maatam ho gaya
ho mera zakhm koi kya jaane jo sine ke niche hai
mujhpe tir chalaane vaala parde ke pichhe hai
vo parda nashi hai parde me, vo zohra zabi hai parde me
vo sabse hasi hai parde me, vo aaj yahi hai parde me
vo parda nashi vo zohra zabi vo sabse hasi vo aaj yahi hai
parde me
ab dikhalaaye jo bhi najar ab dikhalaaye jo bhi najar
vo aaj divaana dekhega, vo aaj divaana dekhega
ab dikhalaaye jo bhi najar ji bhi najar dikhalaaye
jo bhi najar dikhalaaye divaana aaj dekhega
dekhega dekhega dekhega dekhega
phir jab meri shaam sajegi, phir jab meri shaam sajegi
saara zamaana dekhega saara zamaana dekhega
chhupo ai yar zaani tum magar tumko to paana hai
chhupo ai yar zaani tum magar tumko to paana hai
mohabbat kaise karte hai, mohabbat kaise karte hai
zamaane ko dikhana hai zamaane ko dikhana hai
zamaane ko dikhana hai zamaane ko dikhana hai
pari ho aasmaani tum magar tumko to pana hai
paana hai tumko paana hai, paana hai tumko paana hai
paana hai tumko paana hai, paana hai tumko paana hai
pari ho aasmaani tum magar tumko to paana hai
mehzabi hai aaha, naazani hai aaha
ai hasi naazani aaha mehzabi
mehzabi naazani ai hasi tumko to paana hai
tumko to paana hai, tumko to paana hai
mohabbat kaise karte hai, mohabbat kaise karte hai
mohabbat kaise karte hai, mohabbat kaise karte hai
zamaane ko dikhana hai zamaane ko dikhana hai
zamaane ko dikhana hai zamaane ko dikhana hai