Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Kuch Log Yaha Par Aise Hai
|
Mohammed Rafi | Kalyanji Anandji | Vinod Mehra, Reena Roy | |||
Vardan (1974) | Verma Malik | ||||||
kuch log yaha par aise hai kuch log yaha par aise hai
kuch log yaha par aise hai har rang me rang badalate hai
har rang me rang badalate hai hum unko aur samajhate hai
par vo kuch aur nikalte hai kuch log yaha par aise hai
apne matlab se matlab kisi aur se inko kya matlab
kisi aur se inko kya matlab
begane se ban jate hai jab nikal jaye inka matlab
koi kaise inke sath chale koi kaise inke sath chale
har mod pe raah badalte hai
kuch log yaha par aise hai kuch log yaha par aise hai
humse ye kitani bhul hui pahle na inhe pahchan sake
pahle na inhe pahchan sake jab uth gaya parda chehre se
tab asli surat jaan sake kya milta hai in logo ko
kya milta hai in logo ko jane kyu aisa karte hai
kuch log yaha par aise hai har rang me rang badalate hai
hum unko aur samajhate hai par vo kuch aur nikalte hai
kuch log yaha par aise hai