Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Kuch Aise Bhi Pal Hote Hai
|
Manna Dey | |||||
Kuch Aise Bhi Pal Hote Hain (1974) | |||||||
kuch aise bhi pal hote hain kuch aise bhi pal hote hain
jab raat ke gahre sannate gahari si neend mein sote hai sote hai
tab muskano ke dard yaha bachcho ki tarah se rote hain
kuch aise bhi pal hote
jab chha jati hai khamoshi tab shor machati hai dhadkan
ek mela aisa lagta hai bikhara bikhara ye sunapan
yaadon ke saye aise mein karne lagte hain alingan
chubhane lagta hai sanso mein bikhare sapno ka har darpan
phir bhi jage jage do naina sapno ka bojh sanjote hai
kuch aise bhi pal hote hain kuch aise bhi pal hote hain
yun hi har raat pighalti hai yun hi har din dhal jata hain
har saaj yun hi ye birahi man patjhad mein phul khilata hain
aakhir ye kaisa bandhan hain aakhir ye kaisa nata hain
jo jud gaya to anjaane mein par tut nahi ab pata hain
aur hum uljhe is bandhan mein din raat ye nain bhigote hain
kuch aise bhi pal hote
jab raat ke gahre sannate gahari si neend mein sote hai sote hai
tab muskano ke dard yaha bachcho ki tarah se rote hain
kuch aise bhi pal hote hain kuch aise bhi pal hote hain