Lyrics of Kiska Kiska Gham Karegee - ये शराब ना, अब ये मस्तों की मंजूरे नजर
ye sharaab na, ab ye masto ki manjure najar
kya mubaarak shay thi, jinse aam hokar reh gayi
jabse kamjarfo ke palle pad gayi, ye dilruba
kucha o bazaar mein, badnaam hokar reh gayi
jisko dekho maikade ki, simt bhaga aaye hai

kiska kiska gham karegi, dur bechari sharaab
peenewaalo ko bahakte dekh ke, sharmaaye hai

kya salika tha kabhi, jab jaam chhalkate the log
isme bhi ek shaan thi, jab peeke lehrate the log
ekka dukka chhup chhupakar, is taraf aate the log
ab to is mashuk par, har shakhs ki niyat kharaab
kiska kiska gham karegi, dur bechari sharaab
kiska kiska gham karegi, dur bechari sharaab
waqt ke maare huye, kuch ishq ke maare huye
kuch zamane se, kuch apane aapse haare huye
log to is may ke aashiq, jaankar saare huye
koyi do katro ka taalib, koyi maange behisaab
kiska kiska gham karegi, dur bechari sharaab
jisko dekho maikade ki, simt bhaga aaye hai
kiska kiska gham karegi, dur bechari sharaab
jo asire gham hua, usko to aksar chahiye
jisko koyi gham nahi, usko bhi saagar chahiye
jisko ek katra mila, usko samandar chahiye
ek najuk si pari, jhelegi kitno ke ajaab
kiska kiska gham karegi, dur bechari sharaab
kiska kiska gham karegi, dur bechari sharaab
raah takta hoga koyi, dil ka nazrana liye
julf me masti liye, hothon pe paimana liye
pyaas aankhon me diye, aanchal me maikhana liye
maikade ki raah chhodo, ghar chalo aali janab