Lyrics of Kisi Ki Jeb Se Paise Nikalte - किसी की जेब से पैसे निकलते
ek din raste-e-mohabbat hua mera gujar
gham ka maara hua ek shakhsh waha aaya najar
jiski patlun pe peband lage the sattar
hal puchha to laga kahne wo aahe bharkar
kisi ki jeb se paise niklate hai bade dhang se
kisi ki jeb se paise niklate hai bade dhang se
ye duniya hai, ye duniya hai, ye duniya hai
yaha par bhikh bhi milti hai fashion se
o khuda ke nam par koi kanni tak nahi deta
khuda ke nam par koi kanni tak nahi deta
fira lete hai muh jo nam hai bhagwan ka leta
are bhai hazaro jebe kat jati hai lekin ek sutli se
hazaro jebe kat jati hai lekin ek sutli se
ye duniya hai, ye duniya hai, ye duniya hai
yaha par bhikh bhi milti hai fashion se
mile lakho ka chanda
mile lakho ka chanda coat aur patlun walo ko
yaha patlun walo ko are patlun walo ko
magar dhela nahi deta hai koi khasta haalo ko
yahi sunte chale aaye hai hum to apne bachpan se
ye dunia hai yaha par bhikh bhi milti hai fashion se
yaha saude dikhawat ke, dukane hai sajawat ki
yaha par dhol me hai kol, aur baate banawat ki
are baate banawat ki yaha baate banawat ki
dikhkar jhuthe sapne chahe jo le lo mahajan se
dikhkar jhuthe sapne chahe jo le lo mahajan se
ye duniya hai, ye duniya hai, ye duniya hai
yaha par bhikh bhi milti hai fashion se