Lyrics of Khushiyo Kaa Zamana Beet Gaya - खुशियों का ज़माना बीत गया
khushiyo ka zamana bit gaya
khushiyo ka zamana bit gaya
majbur mohabbat roti hai, roti hai
nashad hai tu nashad hu main
nashad hai tu nashad hu main
kismat dono ki soti hai, soti hai
khushiyo ka zamana bit gaya
khushiyo ka zamana bit gaya
barbad udhar tera dil hai
barbad udhar tera dil hai
roti hai idhar meri aankhe, meri aankhe
wo kaunsi duniya hai jisme
wo kaunsi duniya hai jisme
aabad mohabbat hoti hai, hoti hai
khushiyo ka zamana bit gaya
khushiyo ka zamana bit gaya
majbur mohabbat roti hai, roti hai
khushiyo ka zamana bit gaya
khushiyo ka zamana bit gaya
tu gham ki kahani kahta ja
tu gham ki kahani kahta ja
jo dard mila hai sahta ja, sahta ja
o dard ke maare dekhe ja
o dard ke maare dekhe ja
taqdeer kahan tak soti hai, soti hai
khushiyo ka zamana bit gaya
khushiyo ka zamana bit gaya
majbur mohabbat roti hai, roti hai
khushiyo ka zamana bit gaya
khushiyo ka zamana bit gaya