Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Khushi Bhi Aayi To Kuch Aisi Adaa Se Aayi
|
Lata Mangeshkar | Kalyanji Anandji | ||||
Saheli (1965) | K. L. Pardesi | Sad Songs | |||||
khushi bhi aayi to kuch aisi ada se aayi
khushi bhi aayi to kuch aisi ada se aayi
khushi ke sath jamane pe muskura baithe
najara dekh liya vo ajib najro ne
ke jindagi ke fasane pe muskura baithe
khushi bhi aayi to
juban ko rok liya najar se bat chali
juban ko rok liya najar se bat chali
naye andaj se ab unse mulakat huyi hai
nigahe fer ke yu
nigahe fer ke yu hamse dur baithe hai
ke unke pas na aane pe muskura baithe
khushi bhi aayi to kuch aisi ada se aayi
khushi ke sath jamane pe muskura baithe
khushi bhi aayi to
teri hasi ke liye jalaye hamne diye
teri hasi ke liye jalaye hamne diye
bade arman bhare dil se ye dete hai duaye
jaha mishad rahe
jaha mishad rahe tu jaha jaha bhi rahe
tere nasib suhane pe muskura baithe
khushi bhi aayi to kuch aisi ada se aayi
khushi ke sath jamane pe muskura baithe
najara dekh liya vo ajib najro ne
ke jindagi ke fasane pe muskura baithe