Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Khudaaye Bartaar Teree Jamin Par
|
Lata Mangeshkar | Roshan | Bina Roy | |||
Taj Mahal (1963) | Sahir Ludhianvi | Philosophical Songs | |||||
khudaa-ae-bartaar teree jamin par
jamin kee khaatir yeh jang kyon hai
har ek fatah-o-jafar ke daaman pe
khun-e-insaan kaa rang kyon hai
khudaa-ae-bartaar teree jamin par
jamin kee khaatir yeh jang kyon hai
jamin bhee teree hain ham bhee tere
yeh milkiyat kaa savaal kya hai
yeh katl-o-khun kaa rivaaj kyon hai
yeh rasm-ae-jango-jadal kya hai
jinhe talab hai jahan bhar kee
unhee kaa dil itna tang kyon hai
khudaa-ae-bartaar
gharib maano sharif behano ko
amn-o-ijjat kee jindagee de
jinhe aata kee hai too ne taakat
unhe hidaayat kee roshanee de
saro me kibr-o-ghurur kyon hain
dilo ke shishe pe jang kyon hai
khudaa-ae-bartaar
khaja ke raste pe jaanevaalo ko
bach ke aane kee rah dena
dilo ke gulshan ujad na jaaye
muhabbato ko panaah dena
jahan me jashn-e-vafa ke badle
yeh jashn-ae-tir-o-tafang kyon hai
khudaa-ae-bartaar teree jamin par
jamin kee khaatir yeh jang kyon hai
har ek fatah-o-jafar ke daaman pe
khun-e-insaan kaa rang kyon hai
khudaa-ae-bartaar