Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Kho Diya Maine Pa Kar Kisi Ko
|
Lata Mangeshkar | Shaukat Dehlvi Nashad | Ajit, Geeta Bali | |||
Baradari (1955) | Khumar Barabankwi | Sad Songs | |||||
kho diya maine paa kar kisi ko
aag lag jaaye is zindagi ko
kho diya maine paa kar kisi ko
aag lag jaaye is zindagi ko
din ye kismat ne kaise dikhaaye
the jo apne huye wo paraaye
apna kahena hai ab ajnabi ko
aag lag jaaye is zindagi ko
shaadiyaane bajenge khushi ke
shaadiyaane bajenge khushi ke
honge aramaan poore kisi ke
honth tarsenge mere hansee ko
aag lag jaaye is zindagi ko
chand-taaro ka phera rahega
mere dil me andhera rahega
shamma royegi ab roshani ko
aag lag jaaye is zindagi ko
kho diya maine paa kar kisi ko
aag lag jaaye is zindagi ko