Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Khaamosh Nigaahe Ye Sunaati Hai Kahani
|
S D Batish | |||||
Daasi (1944) | Romantic Songs | ||||||
khamosh nigahe ye sunati hai kahani
khamosh nigahe ye sunati hai kahani
lo aaj chali thokre khane ko jawani
khamosh nigahe khamosh nigahe
ye man liya panchi
ye man liya kat liye par hai kisi ne
par dil ki kahani to hai piya ko sunani
khamosh nigahe khamosh nigahe
harsu hai andhera to diya ek bhi jale kyon
phuti hui kismat ko hai ab thokre khani
khamosh nigahe khamosh nigahe
hai rat suhani diye jalte hai hazaro
hai rat suhani diye jalte hai hazaro
hasrat ke andhere se bani aaj diwani aj diwani
khamosh nigahe khamosh nigahe
shayad ye tere ujde hue dil ki hai tasavir
pani ki ravani me chirago ki ravani
khamosh nigahe khamosh nigahe
ghar bar ujada teri furqat me junu se
sine se laga rakhi hai ek teri nishani ek teri nishani
khamosh nigahe khamosh nigahe
bazar me dhundha tujhe galiyon me pukara
afasos kisi ne na suni aur na mani aur na mani
khamosh nigahe khamosh nigahe
din-rat tujhe dhoondh rahi aye
din-rat tujhe dhoondh rahi hai meri ankhen
jayenge jaha le chale ashko ki ravani
khamosh nigahe khamosh nigahe
takdir dar-e-yar pe akhir mujhe layi
ha takdir dar-e-yar pe akhir mujhe layi
sun dil ki kahani meri ankho ki zubani
khamosh nigahe khamosh nigahe