Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Ke Main Hoon Aadami Sadak Ka
|
Mohammed Rafi | Ravi | ||||
Aadmi Sadak Ka (1977) | Verma Malik | ||||||
koyi kaam nahi hai mushkil jab kiya iraada pakka
ke main hoon aadami sadak ka
ke main hu main hu main hu aadmi sadak ka
koyi kaam nahi hai mushkil jab kiya iraada pakka
ke main hoon aadami sadak ka
ke main hoon aadami sadak ka
mohabbat mera dharm imaan hai
mohabbat mera dharm imaan hai
meri jaat toh sirf insaan hai
wahi jisne banaaye hain dono jahaan
wahi jisne banaaye hain dono jahaan
woh mera raam hain mera rehmaan hai
sir jhukaaya toh dekhi kaashi
aur sajda kiya toh makka
ke main hoon aadmi sadak ka
ke main hu main hu main hu aadmi sadak ka
koyi kaam nahi hain mushkil jab kiya iraada pakka
ke main hoon aadmi sadak ka
ke main hoon aadmi sadak ka
pichhe hat jaau yeh maine sikha nahi
pichhe hat jaau yeh maine sikha nahi
hogi manzil kaha yeh bhi socha nahi
jab badha hausla ghat gaya phaasla
jab badha hausla ghat gaya phaasla
rokne se kisi ke main rukta nahi
himmat hi mera tanga himmat hi mera ekka
ke main hoon aadmi sadak ka
ke main hu main hu main hu aadmi sadak ka
koyi kaam nahi hain mushkil jab kiya iraada pakka
ke main hoon aadmi sadak ka
ke main hoon aadmi sadak ka
ek sadak hain yeh insaan ki zindagi
ek sadak hain yeh insaan ki zindagi
iske har mod par milte gam aur khushi
jo bhi ghabraaya woh reh gaya raah me
jo bhi ghabraaya woh reh gaya raah me
aur gaya jo usi ko hain manzil mili
thokar ko maari thokar aur dhakke ko maara dhakka
ke main hoon aadmi sadak ka
ke main hu main hu main hu aadmi sadak ka
koyi kaam nahi hain mushkil jab kiya iraada pakka
ke main hoon aadmi sadak ka
ke main hoon aadmi sadak ka