Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Katate Hain Dukh Me Ye Din Pahlu Badal Badal Ke
|
Lata Mangeshkar | Chitalkar Ramchandra | Jayshree, Sandhya, V Shantaram | |||
Parchhaiyan (1952) | Noor Lucknavi | Sad Songs | |||||
katte hai dukh me din, pahlu badal badal ke
rahte hai dil ke dil me, armaa machal machal ke
katte hai
tadpayega kaha tak, ae dard-e-dil bata de
rusvaa kahi na kar de, aansu nikal nikal ke
katte hai dukh me din
ye khwaab par jo chamki, ye khwaab par jo chamki
jarre na inko samjho
fenka gaya hai dil ka, fenka gaya hai dil ka
shisha kuchal kuchal ke
katte hai dukh me din
ulfat ki thokaro se, ulfat ki thokaro se
aakhir na bach saka dil
jitne kadam uthaae, hamne sambhal sambhal ke
katte hai dukh me din, pahlu badal badal ke
katte hai dukh me din