Lyrics of Karz Chukana Hai - कर्ज चुकाना है
jiska naam farz hai
wo bhi to ek karz hai
jiska naam farz hai
wo bhi to ek karz hai
farz samajh kar, ha farz samajh kar
tujhko har ek karz chukana hai
burai ko acchai me, ek roj badal jana hai
jiska naam farz hai
wo bhi to ek karz hai
farz samajh kar, ha farz samajh kar
tujhko har ek karz chukana hai
burai ko acchai me, ek roj badal jana hai
saanse dekar karz chukana hai, tujhko pawan ka
saanse dekar karz chukana hai, tujhko pawan ka
aag ki sej pe so ke
karz chukana hai agan ka
mitti ke badle tujhko, mitti ke badle tujhko
mitti dekar jana hai
burai ko acchai me, ek roj badal jana hai
jiska naam farz hai
wo bhi to ek karz hai
farz samajh kar
tujhko har ek karz chukana hai
burai ko acchai me, ek roj badal jana hai
kaam koi mushkil hi nahi
insaa me agar himmat ho
kaam koi mushkil hi nahi
insaa me agar himmat ho
har karz chuka sakta hai wo
dene ki agar niyat ho
ek maa ka karz hi aisa
ek maa ka karz hi aisa
jise ada na kar pana hai
burai ko acchai me, ek roj badal jana hai
jiska naam farz hai
wo bhi to ek karz hai
farz samajh kar, ha farz samajh kar
tujhko har ek karz chukana hai
burai ko acchai me, ek roj badal jana hai