Lyrics of Karvaan Guzar Gaya, Gubar Dekhte Rahe - कारवाँ गुज़र गया, गुबार देखते रहे
sapan jhare phul se, mit chubhe shul se
lut gaye singaar sabhi, baag ke babul se
aur ham khade-khade, bahaar dekhte rahe
kaarvaa guzar gayaa, gubaar dekhte rahe
nind bhi khuli na thi ki haay dhup dhal gai
paanv jab talak uthe ke zindagi phisal gai
paat-paat jhar gae ke shaakh-shaakh jal gai
chaah to niakl saki na par umar nikal gai
par umar nikal gai
git ashq ban gae, sapan ho dafan gae
saath ke sabhi deeye, dhuaan pahan-pahan gae
aur ham jhuke-jhuke, mod par ruke-ruke
umr ke chadhaav kaa utaar dekhte rahe
kyaa shabaab thaa ke phul phul pyaar kar uthaa
kyaa kamaal thaa ke dekh ke aainaa sihar uthaa
is taraf zami aur aasmaa udhar uthaa
thamkar jigar uthaa ke jo milaa nazaar uthaa
ke jo milaa nazaar uthaa
ek din magar yahaan aisi kuchh havaa chali
lut gai kali kali ke ghut gai gali gali
aur ham lute-lute, vakt se pite-pite
saaz ki sharaab kaa kumaar dekhte rahe
kaarvaa guzar gayaa, gubaar dekhte rahe
haath the mile ke zulf chaand ki sanvaar dun
hoth the khule ke har bahaar ko pukaar dun
dard thaa diya gayaa ke har dukhi ko pyaar dun
aur saans yun ke svarg bhumi par utaar dun
bhumi par utaar dun
ho sakaa na kuchh magar, shaam ban gai sahar
vo uthi lahar ke dhah gae kile bikhar bikhar
aur ham dare dare nir nain me bhare
odh kar kafan pade mazaar dekhte rahe
maang bhar chali ke ek jab nai nai kiran
dhol ke dhunak uthi dhumak uthe charan charan
shor mach gayaa ke lo chali dulhan chali dulhan
gaanv sab umad padaa, bahak uthe nayan nayan
bahak uthe nayan nayan
par tabhi zahar bhari gaaj ek vah giri
puchh gayaa sindur taar taar hui chunari
aur ham ajaan se, dur ke makaan se
paalki lie hue kahaar dekhte rahe
kaarvaa guzar gayaa, gubaar dekhte rahe
sapan jhare phul se, mit chubhe shul se
lut gaye singaar sabhi, baag ke babul se
aur ham khade-khade, bahaar dekhte rahe
kaarvaa guzar gayaa, gubaar dekhte rahe
kaarvaa guzar gayaa, gubaar dekhte rahe