Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Kar Lijiye Chal Kar Meri Jannat Ke Najare
|
Kundan Lal Saigal | Naushad | ||||
Shahjehan (1946) | Majrooh Sultanpuri | ||||||
kar lijiye chalkar meri jannat ke nazare
jannat ye banai hai mohabbat ke sahare
phulo se liya rang sitaro se ujala
har chiz ko noor ke ek sache me hai dhala
is khwab ki basti ka falak hai na jami hai
is husn ki dunia ki har ek chiz hasi hai
roshan hai fiza aur nahi chand sitare
jannat ye banai hai mohabbat ke sahare
gati hai khushi nagme to hasta hai waha gum
kaliyo ki hasi dekh ke roti nahi sabnam
fitrat ki jaba par kahi masti ka fasana
cheda hai khamoshi ne bhi kurkaif tarana
kuch soye to kuch jage hue mast nazare
jannat ye banai hai mohabbat ke sahare
atahkheliya karti hui chalti hai hawaye
nagmo ki hai barsat to julfo ki ghataye
rangin hui aur bhi jannat ki kahani
wo dekhiye wo dekhiye jhule pe ruhi ki jawani
betab kiye dete masum ishare masum ishare