The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Kamai To Bahut Phir Bhi
0
Asha Bhosle, Kishore Kumar Usha Khanna
Sweekar Kiya Maine (1983) Vithalbhai Patel
Lyrics of Kamai To Bahut Phir Bhi - कमाई तो बहुत फिर भी

kamaai kamaai kamaai to bahut phir bhi kadki har dum rehti hai
kamaai to bahut phir bhi kadki har dum rehti hai
kuchh mahangaai le jati, kuchh biwi udati hai biwi udati hai
bujurgo ka ye kahna hai ghar ko mard lutate hai
bujurgo ka ye kahna hai ghar ko mard lutate hai
lakh musibat ho aurat ghar ko banati hai
aurat ghar ko banati hai
kamaai to bahut phir bhi kadki har dum rehti hai

hai unki saadiya dasbees hamare kapde le bechar hai
hai unki ha ha hai unki saadiya dasbees hamare kapde le bechar
hai unki roj deewali, deewala nikla hamra yaar
sone ke haath me kanga, heere ki kaan mein baali
chhanke pairo me payal, haye re payal payal haye re payal
chhanke pairo me payal, pati ka batva hai khaali
laga kar sent, laga kar sent mahenga ye nakhre sau sau dikhati hai
kuchh mahangaai le jati, kuchh biwi udati hai biwi udati hai
bujurgo ka ye kahna hai ghar ko mard lutate hai

buse chalti hai lekin wo sada taxi mein jaate hai
buse hai hai hai chalti hai lekin wo sada taxi mein jaate hai
chale jab kaam tedhi se sada cigarette wo peete hai
lagakar aankh par chasma cinema khub jaate hai
ghar ka chhod kar khaana haye re khaana re khaana haye re khaana
ghar ka chhod kar khaana sada hotel me khate hai
piya duty manate hai tabhi ghar ko sajati hai
ho lakh musibat ho aurat ghar ko banati hai
aurat ghar ko banati hai
kamaai to bahut phir bhi kadki har dum rehti hai

pehankar reshami joda hume jalwa dikhavat hai
kabhi jo der se aao shubha manva mein laavat hai
namak mircha wo daale khub jali roti khilavat hai
chale jab chaal naa koi chale jab chaal naa koi
to wo berang dikhavat hai
jeb hoti hai jab khaali yaad biwi bas aati hai
bachat ke paise se har dum udhari wo chukati hai
jawani mein satavat wo budhape me bhi baki hai
pati ke seva kar biwi sukhi jivan banati hai
bujurgo ka ye kahna hai ghar ko mard lutate hai
lakh musibat ho aurat ghar ko banati hai
aurat ghar ko banati hai