Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Kam Ki Puja Karne Wale Mehnat Se Na Darne Wale
|
Mohammed Rafi | Usha Khanna | ||||
Mazdoor Zindabaad (1977) | Asad Bhopali | Happy Songs | |||||
kam ki puja karne wale
mehnat se na darne wale
majdur zindabad majdur zindabad
majdur zindabad zindabad
chir ke sina dharti ka hariyali jo late hai
wo inke hath hai ha wo inke hath hai
jo parwat ko kat kar rashte banate hai
wo inke hath hai ha wo inke hath hai
aag se jo khelkar
aag se jo khelkar lohe ko mom banate hai
wo inke hath hai wo inke hath hai
milo me karkhane me machine jo chalate hai
wo inke hath hai wo inke hath hai
paidawar badhane wale jiwan jot jagane wale
majdur zindabad majdur zindabad
majdur zindabad zindabad
koyle ki khano me khelte hai jano par
wo bhi majdur hai wo bhi majdur hai
dhanwano ke waste ban jate hai janwar
wo bhi majdur hai wo bhi majdur hai
dam banake jagah jagah
dam banake jagah jagah
par nehru ji ki yad dilana
inka kam hai inka kam hai
desh ki rakhsa karne wali
sena ka hathiyar banana
inka kam hai inka kam hai
hindustan sajane wale
desh me unnati lane wale
majdur zindabad majdur zindabad
majdur zindabad zindabad
kam ki pooja karne wale
mehnat se na darne wale
majdur zindabad majdur zindabad
majdur zindabad zindabad
roj savera hote hi
zindagi ke humsafar peeth par bacche bandh kar
dat jate hai kam par apne khun pasine se
buildinge banate hai
aur jab building ban jati hai
rahne wale aate hai ye beghar ho jaate hai
ye beghr ho jaate hai
sochne ki baat hai kya dete hai kya paate hai
majdur yahi kahlate hai majdur yahi kahlate hai