The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Kaliram Ka Khul Gaya Pol
0
Kishore Kumar R D Burman Amitabh Bachchan
Barsaat Ki Ek Raat (1981) Anand Bakshi Funny Songs
Lyrics of Kaliram Ka Khul Gaya Pol - कालीराम का खुल गया पोल

kauwa hans ki chaal chala langada kar ghoda dauda
kauwa hans ki chaal chala langada kar ghoda dauda
ek gadhe ne koshish ki vo bhi ban jaye ghoda
dekho taal ne tute hamari chaal na tute
hamari chaal na tute
dekho taal ne tute hamari chaal na tute

are kaliram ka khul gaya pol
bich bazariya fat gaya dhol
ho gaya us ka dabba gol
bol hari bol hari bol hari bol
bol hari bol hari bol hari bol
jiska kaam usi ko saje or kare dhenga baaze
kaliram ka khul gaya pol
bich bazariya fat gaya dhol
ho gaya us ka dabba gol
bol hari bol hari bol hari bol
bol hari bol hari bol hari bol

bina ticket ke mufat me humne dekha khel ye sara
bina ticket ke mufat me humne dekha khel ye sara
pi kar bhang kisi chuhe ne ha bhaiya
pi kar bhang kisi chuhe ne sher ko ja lalkara
ye to vahi baat hui ji
ye to vahi baat hui ji chota muh or bade bol
kaliram ka khul gaya pol
bich bazariya fat gaya dhol
ho gaya us ka dabba gol
bol hari bol hari bol hari bol
bol hari bol hari bol hari bol

jai jai gaao sank bajaao
maa durga durgati nashini is mote ko samjhao
durga mata se vinti hai is rakshas ko chhod e
durga mata se vinti hai is rakshas ko chhod e
ye mota mahisaasur jaisa kis ki gardan tode
hey devi maa le is ki jaan
hey devi maa le is ki jaan hai ye bali anmol
kaliram ka khul gaya pol
bich bazariya fat gaya dhol
ho gaya us ka dabba gol
bol hari bol hari bol hari bol
bol hari bol hari bol hari bol

arey baazi hara ye bechara are sharam ka maara
jaye re jaye koi isko ghar tak chhod ke aaye
jaye re jaye koi isko ghar tak chhod ke aaye
chullu bhar pani me kahi ye dub ke na mar jaye
jiski aji izzat gayi
jiski aji izzat gayi uska raha kya mol
kaliram ka khul gaya pol
bich bazariya fat gaya dhol
ho gaya us ka dabba gol
bol hari bol hari bol hari bol
bol hari bol hari bol hari bol
bol hari bol hari bol hari bol
bol hari bol hari bol hari bol