Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Kaleja Mora Dhadke Ho Aankh Mori Phadke
|
Chitalkar Ramchandra, Lata Mangeshkar | Anna Saheb | ||||
Jigar (1949) | Ehsan Rizvi | ||||||
kaleja mora dhadke ho aankh mori fadke
mayke chali main sajan se bigad ke
sajan se bigad ke
kaleja mora dhadke ho aankh mori fadke
maike chali mai sajan se bigad ke
sajan se bigad ke
sawan bahar par man hai umang par
sawan bahar par man hai umang par
bhawre bhi nach rahe phulo ki rang par
bhawre bhi nach rahe phulo ki rang par
manale to saiya ke pairo pe pad ke
manale to saiya ke pairo pe pad ke
ruthi rahungi tumko tadpaungi
paiyo me padke main na manaungi
ruthi rahungi tumko tadpaungi
paiyo me padke main na manaungi
roya karoge tum hamse bichhad ke
ho hamse bichad ke
kaleja mora dhadke ho aankh mori fadke
maike chali mai sajan se bigad ke
sajan se bigad ke
tu bhi kisi budhe ke palle padegi
man mera kahna nahi to pachhtayegi
aisa sagun nahi muh se nikalna
budhe nikathu ke palle na dalna
hum to alag ab honge na lad ke
honge na lad ke
kaleja mora dhadke ho aankh mori fadke
maike chali mai sajan se bigad ke
sajan se bigad ke