Lyrics of Kal Tak Mujhko Gaurav Tha Main Devtao Ki Hu Santan - कल तक मुझको गौरव था मैं देवताओ की हूँ संतान
kal tak mujhko gaurav tha, mai devtao ki hu santan
aaj magar hu aadha janwar, aaj hu mai aadha insan
kal tak meri dhadkan, dhadkan jiwan rag sunati thi
lekin aaj hai mere ang ang men jaise thanda ek shamshan
kaun pukara
kaun pukara dekho sab kuch badal gaya
koi pichhe chhut gaya hai, koi aage nikal gaya
aag ke hai yeh nag ke jo hai, lipte huye mere tan se
pairo se aur baju se, aur sine se aur gardan se
kaun pukara kaun pukara
kal tak mujhko gaurav tha, mai devtao kee hu santan
aaj magar hu aadha janwar, aaj hu mai aadha insan
kal tak meri dhadkan, dhadkan jiwan raag sunati thi
aaj hai mere ang ang men jaise thanda ek shamshan
dharti ki aankhen bhigi hai, aur ambar bhi rota hai
duniya men koi sab pata hai, aur koi sab khota hai
dharti ki aankhen bhigi hai, aur ambar bhi rota hai
duniya men koyi sab pata hai, aur koyi sab khota hai
jharne ho nadiya ke sagar, sab hai pani ke dhare
lekin in ankho ke aansu jaise pigle angare
chinkh rahi hai sari dishaye, koi disha khamosh nahi
dosh nahi hai tera lekin, phir bhi tu nirdosh nahi
dub naa jayey dooniya teri aansu ki iss baarish men
lagta hai tere dil aur aankhe dono hai iss sajish men