Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Kajre Ki Baati
|
Yesudas, Sulakshana Pandit | Raj Kamal | ||||
Saawan Ko Aane Do (1979) | Maya Govind | Sad Songs | |||||
ye mat janiyo tum bichude mohe chain
jaise ban ki lakdi sulagti ho din rain
kajre ki bati asuwan ke tel me
aali mai har gayi ankhiyan ke khel me
kajre ki bati asuwan ke tel me
aali mai har gayi ankhiyan ke khel me
kajre ki bati
chanchal se naino me kajal ko aanj kar
bikhri in palko me rajni ko bandh kar
sinduri aachal me taro ko tak kar
adhro ke pyalo me chumban ko dhal kar
atka kar sabke man preet ki gulel me
mari na jau kahi apne hi is khel me
sapne hi tut gaye is tal mel me
aali mai har gayi ankhiyan ke khel me
kajre ki bati
tan ki surahi me yowan ki hala
chitwan me madhoshi ango me jwala
chal chal chalke jo madira ka pyala
gori tu lage hai puri madhushala
nasha hi nasha hai in anguri bel me
pyala or madira in dono ke mel me
nasha hi nasha hai in anguri bel me
virah ke phul hai jiwan ki bel me
aali mai har gayi ankhiyan ke khel me
kajre ki bati