The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Kaise Bataaoon Main Tumhe
0
Nana Patekar Anu Malik Madhuri Dixit, Nana Patekar
Wajood (1998) Javed Akhtar Tareef Songs
Lyrics of Kaise Bataaoon Main Tumhe - कैसे बताऊं मैं तुम्हें

kaise batau main tumhe mere liye tum kaun ho
kaise batau
kaise batau main tumhe tum dhadkanon ka git ho
jivan ka tum sangit ho
tum zindagi tum bandagi tum roshni tum taazgi
tum har khushi tum pyaar ho tum prit ho manmit ho
aankhon me tum yaadon me tum saanson me tum aahon me tum
nindon me tum khwaabon me tum
tum ho meri har baat me tum ho mere din raat me
tum subaah me tum shyaam me tum soch me tum kaam me
mere liye paana bhi tum mere liye khona bhi tum
mere liye hasna bhi tum mere liye rona bhi tum
aur jaagna sona bhi tum
jaaun kahin dekhun kahin tum ho vahan, tum ho vahin
kaise batau main tumhe tum bin to main kuch bhi nahin
kaise batau main tumhe mere liye tum kaun ho
kaise batau

yeh jo tumhaara rup hai yeh zindagi ki dhup hai
chandan se tarsha hai badan behti hai jis me ek agan
yeh shokhiyaan yeh mastiyaan jhumko hawaaon se mili
zulfein ghataaon se mili
honton me kaliyaan khil gayi aankhon ko jhile mil gayi
chehre me simti chaandni aawaaz me hai raagini
shishe ke jaisa ang hai phulon ke jaisa rang hai
nadiyon ke jaisi chaal hai kya husn hai kya haal hai
yeh jism ki ranginiyaan jaise hazaaron titliyaan
baahon ki yeh golaaiyaan aanchal me yeh parchhaaiyaan
yeh nagriyaan hai khwaab ki
kaise batau main tumhe haalat dil-e-betaab ki
kaise batau main tumhe mere liye tum kaun ho
kaise batau

kaise batau kaise batau main tumhe mere liye tum dharam ho
mere liye imaan ho tum hi ibaadat ho meri
tum hi to chaahat ho meri tum hi mera armaan ho
takta hun main har pal jisse tum hi to voh tasvir ho
tum hi meri taqdir ho
tum hi sitaara ho mera tum hi nazaara ho mera
yudhyaan me mere ho tum jaise mujhe ghere ho tum
purab me tum pachhim me tum utar me tum dakshin me tum
saare mere jivan me tum har pal me tum har chir me tum
mere liye rasta bhi tum mere liye manzil bhi tum
mere liye saagar bhi tum mere liye saahil bhi tum
main dekhta bas tumko hun main sochta bas tumko hun
main jaanta bas tumko hun main maanta bas tumko hun
tum hi meri pehchaan ho
kaise batau main tumhe devi ho tum mere liye
mere liye bhagwaan ho
kaise batau main tumhe mere liye tum kaun ho
kaise batau