Lyrics of Kai Sal Pehle - कई साल पहले
kai sal pahle, kai sal pahle
ye din raat the jab sunhare ruphale
kai sal pahle
ye din raat the jab sunhare ruphale
isi shahar ke ik hasi raaste par
chamkate huye motiyo jaise do ghar
khuli khidkiyo se badi shokhiyo se
bahut baate karte the miljulke aksar
kai sal pahle, kai sal pahle
ye din raat the jab sunhare ruphale
unhi do gharo me se ik ghar ke bahar
jo otham machati rehti thi din bhar
kabhi muh banakar kabhi muskurakar
wahi bholi bhaali si gudiya barabar
jo chhoti si ladki thi tum to nahi ho
nahi hum nahi wo
kai sal pahle, kai sal pahle
ye din raat the jab sunhare ruphale
kai sal pahle
ye din raat the jab sunhare ruphale
isi shahar ke ik hasi raaste par
hamare hi jaisa kahi ek tha ghar
jo pariyo ki baate sunata tha aksar
kabhi dhup bankar kabhi chaand bankar
kai sal pahle, kai sal pahle
ye din raat the jab sunhare ruphale
usi ek ghar ki khuli chhat pe aakar
koi gora gora sa koi gora gora sa
khushrang manzar
bahut chhedta tha hume chup chupakar
wahi bhola bhaala sa gudde barabar
jo chhota sa ladka tha tum to nahi ho
nahi nahi hum nahi wo
na tum ho na hum hai to phir kaun the wo
wo chhotasa ladka yakinan hum hi hai
wo chhotisi ladki yakinan hum hi the
hum hi hai hum hi the hum hi hai hum hi the