Lyrics of Kai Sadiyon Pehli Purani Baat Hai - कई सदियों पहली पुरानी बात हैं
kai sadiyon pehli purani baat hai
ke jab se aasman zameen ka saath hai
aur ye pagal hawa sansanati hui
dhundi thi yaha kaha mera pyar hai
ek din upar wala raja soch raha tha mai kuch banau
fir usne parbhat banaye socha thodi baraf bicha du
baraf se jo pighle pighal jharne jhare
ke jharno se bahi khilkhilati nadi
ye nadiyo se bana jo sagar aaj hai
kai sadiyon sadiyon purani baat hai
ab bhi soche upar wala kaise chalega ye sansar
khada rahega kaun zameen pe kaun banega palanhar
fir dharti ka kiya shiringaar
ped banaye sundar pehredaar
dekh ke ye shiringaar ho gaya usko pyar
bana dale jungle, jungle hi jungle yaar
fir to lagne lage fal, fal pe pakne lage fal
ye nadiyo ki rawani piyega kaun pani
koi to ruh ho, koi ho zindgani
ke ab bachcha koi kahi to muskuraye
uski tasveer jaise puri hone lagi
magar uski tamanna adhuri hi rahi
wo jadu se bahare jo bij uske pas the
usne faila diye zameen pe jo unme khas the
wo aise ped hai jin mai bhagwan hai
jo dete pyar hai, jo lete pyar hai
unhe bachcha koi jo jaake gale lagaye
jo sapna dekhe wo, wo sapna sach ho jaye