Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Kahiyo Roen Dukhiyaare Jaa Re Panchhi Tu Jaa Re
|
Lata Mangeshkar | Pandit Amarnath | Balraj Sahni, Nirupa Roy | |||
Garam Coat (1955) | Majrooh Sultanpuri | Sad Songs | |||||
kahiyo roye dukhiyare
ja re pachhi tu ja re
kaga desh hamaare ud ja re
kahiyo roye dukhiyare
ja re pachhi tu ja re
kaga desh hamaare ud ja re
ek naa kahiyo maa raani se
royegi vo meri gudiyo ko dekhe
royegi vo meri gudiyo ko dekhe
ek na kahiyo baabul ji se
ek na kahiyo baabul ji se
royenge pagdi ko munh se lapete
aur sab se kahiyo tu pyare
jaa re pachhi tu jaa re
kaagaa desh hamaare ud jaa re
kahiyo roye dukhiyaare
ek naa kahiyo bahnaa meri se
haatho ki roti gira degi ro ke
haatho ki roti gira degi ro ke
ek naa kahiyo bhaabhi meri se
maike me ja ke hansegi vo mope
maike me ja ke hansegi vo mope
aur sab se kahiyo tu pyaare
kahiyo re dukh mera bhaiya se ja ke
kahiyo re dukh mera bhaiya se ja ke
aayega vo nila ghoda udake
utarega mere dware jaa re pachhi tu ja re
kaga desh hamare ud ja re
kahiyo roye dukhiyare