Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Kahi Na Kahi Dil Lagana Padega
|
Mohammed Rafi | O P Nayyar | Shammi Kapoor | |||
Kashmir Ki Kali (1964) | S H Bihari | Masti Bhare Geet | |||||
kisi na kisi se kabhi na kabhi
kahi na kahi dil lagana padega
kisi na kisi se kabhi na kabhi
kahi na kahi dil lagana padega
ek se ek hasi chehre hai kis-kis ko mai dekhu
kisko inme apna samjhu sang mai apne le lu
koi rangili chail-chabili
koi rangili rasili chail-chabili
aaj meri jindagi me aake rahegi
kisi na kisi se kabhi na kabhi
kahi na kahi dil lagana padega
kisi na kisi se kabhi na kabhi
kahi na kahi dil lagana padega
dhund raha hu mai wo dunia pyar jise kahte hai
dhund raha hu mai wo dunia pyar jise kahte hai
kaun wo kismat wale hai jo log waha rahte hai
mujhko mere dil leke wahi chal
mujhko mere dil mere dil leke wahi chal
aaye jaha hath koi reshmi aachal
kisi na kisi se kabhi na kabhi
kahi na kahi dil lagana padega
kisi na kisi se kabhi na kabhi
kahi na kahi dil lagana padega
aisi najuk ho wo jiska shabnam muh dhoti ho
chand bhi sadke hota ho, jab rat ko wo soti ho
aankh sharabi gal gulabi
aankh sharabi sharabi gal gulabi
pyar se sawar de jo meri jindagi
kisi na kisi se kabhi na kabhi
kahi na kahi dil lagana padega
kisi na kisi se kabhi na kabhi
kahi na kahi dil lagana padega