Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Kahi Dur Koyaliya Gaye Re
|
Sudha Malhotra, Lata Mangeshkar | Roshan | ||||
Baraati (1954) | Raja Mehdi Ali Khan | ||||||
kahi dur koyaliya gaye re
mera chota sa dil ghabraye re
ghar aaja balamwa ho
haye ghar aaja balamwa
ghanghor badarwa chhaye re
ho meri bhabhi shor machaye re
ghar aaja biranwa oh
haay ghar aaja biranwa
teri yaad jab aayi dil le aayi
chori chori dil me aayi
chori chori
ab iska jina hai mushkil
gayi kaam se chhori
haye ram gayi kaam se chhori
tu kaahe ko der lagaye re
ho meri bhabhi shor machaye re
ghar aaja biranwa oh
haay ghar aaja biranwa
kahi dur koyaliya gaye re
mera chota sa dil ghabraye re
ghar aaja balamwa ho
haye ghar aaja balamwa
lakh ise samjhau na samjhe
haye biran teri naina
na samjhe haye biran teri naina
sab sakhiya jab soye
ghunghat me roye mere do naina
haye ram roye mere do naina
sawan rut biti jaye re
mera chota sa dil ghabraye re
ghar aaja balamwa ho
haye ghar aaja balamwa
ghanghor badarwa chhaye re
ho meri bhabhi shor machaye re
ghar aaja biranwa oh
haay ghar aaja biranwa