Lyrics of Kahee Janab Ko Mera Toh Intzar Nahee - कहीं जनाब को मेरा तो इन्तजार नही
tha intzar jiska woh rat aa gayi hain
dulha miya kaha hain barat aa gayi hain
uljhe huye hai sahib uljhan ko dhundhate hain
mehfil me dosto ke dushman ko dhundhate hain
nashe ka jhonka hai woh najar kaa dhokha hai woh
hujur ayega woh jarur ayega woh
magar woh naa ansu kaa ho yaha
kisi pe kya hai yakin kahi woh mai toh nahi, kuch aitbar nahi
kahi janab ko mera toh intzar nahi
najar udas hain kyun labo pe pyas hain kyun
najar udas hain kyun labo pe pyas hain kyun
uthao jam piyo usi ke nam piyo
gujarne do yeh ghadi badi hain rat padi
gujarne do yeh ghadi badi hain rat padi
ke thodi der me woh kahega aake suno, tumhe karar nahi
kahi janab ko mera toh intzar nahi
yeh amir aur garib jara se aaye karib
yeh amir aur garib jara se aaye karib
toh koyi bat bane meri barat bane
yahi toh soch ke ha mai aa gaya hu yahan
yeh meri bhul sahi galat asul sahi, mai sharmasar nahi
kahi janab ko mera toh intzar nahi
mera jo hal hai abb kiya hai tumne yeh sab
tumhara kam hai yeh ke intekam hai yeh
diya hai tumne mujhe wahi mai dungi tujhe, yahi hai mera
khija hai nam mera ke mai bahar nahi
kahee janab ko mera toh intzar nahi
kisi pe kya hai yakin kahee woh mai toh nahi, kuch aitbar nahi
kahee janab ko mera toh intzar nahi