The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Kahe Hua Nadan Manwa Kahe
0
Dhananjay Bhattacharya Pankaj Mullick
Kasturi (1954) Vrajendra Gaur
Lyrics of Kahe Hua Nadan Manwa Kahe - काहे हुआ नादान मनवा काहे

kahe hua nadan manwa kahe hua nadan
kahe hua nadan manwa kahe hua nadan
yahi kahi par chhipa milega tujhko tera bhagwan
manwa kahe hua nadan
kahe hua nadan manwa kahe hua nadan

jaise kath mein agan chhipi hai
jaise kath mein agan chhipi hai
pathar me jaise pani
waise hi man ke kone me
malik chhipa hai prani
waise hi man ke kone me
malik chhipa hai prani
kis uljhan me
kis uljhan me fansa hua hai
asal bat kah dal re manwa
kahe hua nadan
kahe hua nadan manwa kahe hua nadan

lena dena rahe barabar kya hai thikana kal ka
dekh musafir ghar hai paraya
tera hai do pal ka
kya jane kab aa jaye us ka
kya jane kab aa jaye us ka
tere liye farman manwa kahe hua nadan
manwa re uski najar se bach na sakega
raja ho ya fakir likhi hai jisne apne hath se
hum sab ki takdir
har na himmat pure karega
har na himmat pure karega
wahi tere arman manwa kahe hua nadan
kahe hua nadan manwa kahe hua nadan