Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Kaha Wo Wo Teri Ahimsa
|
Kishore Kumar | Kalyanji Anandji | ||||
Nasbandi (1978) | Indeevar | ||||||
janta ki aawaj hai ye sunle o bapu ghandi
ye kaise hahakar desh me ye kaisi aag ki aandhi
kaha vo vo teri ahinsa kaha vo vo teri ahinsa
kaha gaya vo pyar
gandhi tere desh me ye kaise atyachar
bapu tere desh me ye kaise atyachar
ek bharat ban me ban gaye jaliya wale bhag hazar
gandhi tere desh me ye kaise atyachar
bapu tere desh me ye kaise atyachar
tune jab aawaj lagai sara hindusatan utha
sara hindusatan utha angarejo ke dil bhi dahle
aisa ek toofan utha aisa ek toofan utha
khushi khushi tere kehne bharat wasi jail gaye
sine pe goli jhel gaye apne prano par khel gaye
apne prano par khel gaye naam pe tere lakho jawan
duniya ke sab sukh bhul gaye
dulhan ka ghunghat bin khole ho
fansi pe jhul gaye fansi pe jhul gaye
tu sawraj le aaya tu sawraj le aaya
ham to phir bhi rahe lachar
gandhi tere desh me ye kaise atyachar
bapu tere desh me ye kaise atyachar
aazadi ki jang lada tha kya isliye hindusatan
are nayay mange na nayay lene
ja na sake koi insan ja na sake koi insan
kitne hi nirdosh yaha misa ke andar band huye
andhe kuve me kitne hi
aajad samandar band huye aajad samandar band huye
kismat luta karte hai jo banke raaj ke pehredhar
apni satta ko rakhne ko jo
chine janta ke adhikar chine janta ke adhikar
gandhi tere desh me ye kaise atyachar
bapu tere desh me ye kaise atyachar
dekhi kalambandi dekhi kahi juban bandi
dekhi kahi juban bandi
dar ki hukumat har dil par thi
sara hindustan bandi sara hindustan bandi
nasbandi ke naam par vo julm huye
vo dukhiyo dino par
lagta tha latka ho jaise parjatantar sangino par
parjatantar sangino par
surkhman vo khet aasaman tuta jaha jamino par
chada diye buldojar bebas logo ke sino par
bebas logo ke sino par bebas logo ke sino par
apno ke hatho hi
apno ke hatho pe apno par goli ki bauchar
gandhi tere desh me ye kaise atyachar
bapu tere desh me ye kaise atyachar
sare desh par zulm sitam ke
ghor andhere jab chaye ghor andhere jab chaye
tab parkash ki kirne lekar jaiparkash aage aaye
jaiparkash aage aaye
ghandi tere naam ki ab hogi jai jai kar
ghandi tere naam ki ab hogi jai jai kar
are jo bhi hukumat jurm karegi uski hogi har
are jo bhi hukumat jurm karegi uski hogi har