Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Kaha Karti Hai Duniya Mera Nanha Chand Jaisa Hai
|
Asha Bhosle | N Datta | Nirupa Roy | |||
Mohini (1957) | Raja Mehdi Ali Khan | Sad Songs | |||||
kaha karti hai duniya mera nanha chand jaisa hai
magar mai kis tarah dekhu ke mera chand kaisa hai
kaha karti hai duniya
mere malik mai ro roke gila karti hu ye tujhse
meri godi me deke laal aankhe chhin li mujhse
aankhe chhin li mujhse kaha karti hai duniya mera
nanha chand jaisa hai
magar mai kis tarah dekhu ke mera chand kaisa hai
kaha karti hai duniya
tujhe nure najar kahti hu
or benur hai aankhe balaye lu mai chehre ki
magar majbur hai aankhe haye majbur hai aankhe
kaha karti hai duniya mera nanha chand jaisa hai
magar mai kis tarah dekhu ke mera chand kaisa hai
kaha karti hai duniya
sukhi rakhna ise bhagwan ke ye aankho ka tara hai
meri andhi mohabbat ka bas ek yahi sahara hai
bas ek yahi sahara hai kaha karti hai duniya mera
nanha chand jaisa hai
magar mai kis tarha dekhu ke mera
chand kaisa hai kaha karti hai duniya